Romantic Poetry

Ye Jo Deewany Se Do Chaar


Ye Jo Deewany Se Do Chaar Nazar Aaty Hein
In Mein Kuch Sahib_E_Asraar Nazar Aaty Hein

Tere Mehfl Ka Bharam Rakhty Hein So Jaty Hein
Warna Ye Log Tu Be_Daar Nazar Aaty Hein

Door Tak Na Koi Sitara Na Jagnu
Marg_E_Umeed Ka Aasaar Nazar Aaty Hein

Mery Daaman Mein Kantoon K Siwa Kuch Bhe Nehe
Ajj Wo Ronq_E_Baazaar Nazar Aaty Hein

Hashar Mein Kon Gawahi Mere De Ga
Sab Tumhary He Tarafdaar Nazar Aaty Hein..!!
...................................................................

Ye Mast Mast Be_Misaal


Ye Mast Mast Be_Misaal Aankhein
Nashy Se Har Damm Nidhaal Aankhein

Uthein Tu Hosh_O_Hawaas Cheenein
Gerein Tu Kar Dein Kamaal Aankhein

Koi Hai In K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shoq_E_Wisaal Aankhein

Na Youn Sataein Na Youn Jalaein
Karein Tu Kuch Ye Khyaal Aankhein

Hein Jeeny Ka Bahana Yaroo
Ye Roh Parwar Jamaal Aankhein

 Daraaz Palkein Gazal Aankhein
Musawrii Ka Kamaal Aankhein

Sharab Rab Ne Haram Kar De
Mager Hein Rakhi Hilaaal Aankhein..!!
..........................................................

Husan Ki Jheel Ho Tum


Husan Ki Jheel Ho Tum Or Kinary Hein Ye Hont
Sach Pocho Tu Mujy Jaan Se Pyaary Hein Ye Hont

Me Ne Har Baar Muhabbat Se Inhein Chooma Hai
Us Ne Har Baar Muhabbat Se Ubhary Hein Ye Hont

Hath Honton Pe Rakh Kar Mujy Kehny Lagi
Rokiye Inhein Bohat Shoq K Mary Hein Ye Hont

Band Hoty Hein Ye Inkaar Ki Sorat Mein Magar
Adh Khuly Hon Tu Muhabbat K Ishaary Hein Ye Hont

Ajj Khud Apny Muqaddar Pe Mujy Rakash Aya
Ajj Honton Mein Mery Usny Utary Hein Ye Hont

Choom Kar Mery Hont Usny Kaha Tha Ye
Bass Tumhary Hein Tumhary Hein Tumhary Hein Ye Hont..!!
............................................................................................

No comments:

Post a Comment