Love Poetry

Kab Nehe Naaz Uthaye


Kab Nehe Naaz Uthaye Me Ny Tumhary
Daikho Aanchal Pe Sajaye Hein Sitary Me Ny

Wohi Lamhaat Asasa Hein Mery Jevan Ka
Jo Tery Qurab Mein Guzary Hein Me Ny

Roz Aaty Hein Mujy Yaad Tery Zulm_O_Sitam
Apny Seeny Se Lagaye Hein Tery Laary Me Ny

Mery Poroon Sy Mehak Aati Rehti Hai Din Bhar
Jab Bhe Khwabon Main Tery Baal Sanwary Me Ny

Tere Chokhat Pe Kai Baar Huye Mujh Ke Shikast
Tere Dehleez Pe Aansu Kai Haary Me Ny

Mere Awaaz Akeli He Palat Kar Aii
Jab Museebat Mein Kabhi Yaar Pukary Me Ny..!!
................................................................................

Ku Ba Ku Phail Gai


Ku_Ba_Ku Phail Gai Baat Shanasaai Ki
Us Ny Khushboo Ki Tarah Mere Pazeerai Ki

Kaisy Keh Don K Mujy Chor Diya Us Ny
Baat Tu Such Hai Magar Baat Hai Ruswaai Ki

Wo Kehen B Gya Louta Tu Mery Pass Aya
Bass Yehe Baat Achi Hai Mery Harjaai Ki

Tera Pehlu Tery Dil Ki Tarah Aabaad Rehy
Tujh Pe Guzray Na Qayamat Shab_E_Tanhaaai Ki

Us Ny Jalti Hui Peashani Py Jo Hath Rakha
Rookh Tak Aa Gai Taseer Maseehai Ki..!!
.........................................................................

Us Pe Khul Jati


Us Pe Khul Jati Mery Shooq Ki Shiddat Sari
Daikhy Hoty Jo Mery Paaon Mein Chaaly Us Ne

Jis Ka Har Aiab Zamany Se Chupaya Me Ne
Mery He Qissay Sar_E_Baazaar Uchaaly Us Ne

Jab Usy Mere Muhabbat Pe Bharosa He Na Tha
Kyun Diye Mere Wafaaon K Hawaly Us Ne

Mere Damm Torti Khahishon Ka Khyaaal Aa Na Saka
Apny Armaan Hameasha He Nikaly Us Ne

Ek Mera He Tu Hath Na Thama Us Ne
Warna Girty Huye Kitny He Sambhaly Us Ne..!!
......................................................................................

Mukammal Do He Dano Par


Mukammal Do He Danoo Par Ye Tasbeeh_E_Muhabbat Hai
Jo Aaye Teesra Dana Ye Doori Toot Jati Hai

Muqarrar Waqat Hota Hai Muhabbat Ki Nemaazon Ka
Adaa Jin Ki Nikal Jaye Qazza B Choot Jati Hai

Muhabbat Ki Nemazon Mein Immamat Aik Ko Sonpoo
Essy Takny Usy Takny Se Niyaat Toot Jati Hai

Muhabbat Dil Ka Soda Hai Jo Hai Toheed Par Qayyam
Nazar K Shirk Waloon Se Muhabbat Rooth Jati Hai...!!
.......................................................................................

Tery Galy Mein Jo Banhoon Ko


Tery Galy Mein Jo Banhoon Ko Daal Rakhty Hein
Tujy Manany Ka Kaisa Kamaal Rakhty Hein

Tujhy Khabar Hai Tujhy Sochny Ki Khatir
Bohat Se Kaam Muqadar Pe Taal Rakhty Hein

Koi Bhe Faisla Ham Soch Kar Nehe Karty
Tumhary Naam Ka Sikka Uchaaal Rakhty Hein

Tumhary baad Ye Adat Se Ho Gai Hai Apni
Bikherty Sokhtey Pattey Sambhaal Rakhty Hein

Khushi Se Milti Hai Khud Ko Aziyatein De Kar
So Jab Bojh Kar Dil Ko Nidhaal Rakhtey Hein

Kabi Kabi Wo Mujh Ko Hans Kar Daikh Laitey Hein
Kabi Kabi Mera Be_Hadd Khyaal Rakhtey Hein

Tumhary Hijar Mein Ye Haal Ho Gaya Hai Apna
Kisi Ka Khat Ho Ussy Bhe Sambhaal Rakhtey Hein

Khushi Mily Tu Tery Baad Khush Nehe Hotey
Ham Apni Aankh Mein Har Dam Malal Rakhtey Hein

Zamany Bhar Se Chupa Kar Wo Apny Aanchal Mein
Mery Wajood Ke Tukrey Sambhaal Rakhtey Hein

Kuch Es Liye Bhe Tu Behaal Ho Gaye Ham Log
Tumhari Yaad Ka Bhe Be_Hadd Khyal Kartey Hein..!!
......................................................................................

Gulab Aankhein Sarab Aankhein


Gulaab Aankhein Saraab Aankhein
Yehe Tu Hein Lajawaab Aankhein

Inhe Mein Ulfat Inhe Mein Nafrat
Sawab Aankhein Azaab Aankhein

Kabi Nazar Mein Bala Ki Shokhi
Kabhi Sarapa Hijaab Ankhein

Kabi Chupati Hein Raaz Dil Ke
Kabi Hein Dil Ki Kitaab Ankhein

Kisi Ne Daikhein Tu Jeel jaisi
Kisi Ne Paaein Saraan Aankhein

Wo Ai Tu Log Boly
Hazoor Aankhein Janab Aankhein

Ajab Tha Guftagu Ka Aalam
Sawal Aankein Jawab Aankhein..!!
.........................................................

1 comment: